Saturday, December 4, 2010

Zindagi ke safar main kafi ye karam hai

Zindagi ke safar main kafi ye karam hai

Enayat ye sache pyaar ki her kisi ko nahi milti
Sache pyaar ka ye tohfa mila mujhe tujhse hi to sanam hai

Koun kahta hai ke juda hogai in faslo se ham
Lamho ki is barish main her pal teri yado ka janam hai

Teri baten tere wade teri woh muskorahatein
Ji lenge ab inke sahare in mai bahot dam hai

Jab tujh se pyaar kiya to tere ghamo se bhi ker lege
Kya huwa ager bewafa hai tu, mera hi woh sanam hai

~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~**~

No comments:

Post a Comment